المدة الزمنية 3:58

Wo 5 Questions Jo Ki Hazartibraeel a.s Ne Aap S.W.LSe Kiya Most Beautiful Hadees in Hindi/Urdu

بواسطة ABDULLAH SHEIKH
16 مشاهدة
0
2
تم نشره في 2021/06/26

Wo 5 Questions Jo Ki Hazartibraeel a.s Ne Aap S.W.LSe Kiya ? Most Beautiful Hadees in Hindi Urdu #BeautifulHadees #IslamicKnowledge #Abdullah Hazrat Umar Bin Khattab (R Z) se riwayat hai kahte hain ki: ek baar ek baar hum Rasululah (S A W) ke paas baithe huye the ki suddenly ek aadmi aap ki majlis me aaya jis ke kapde bahut zada safed the, aur us ke sar ke baal bahut zada black the, us par safar ka naam o nishan nahi tha, aur na hi hum me se koyi usko pahchanta tha, wah aap (S AW) ke bilkul qareeb baith gaya, aur aap se sawal karne laga ki: Ai Muhammad mujhe bataoo ki islam kya hai? Aap ne jawab dia ki: “Islam yah hai ki tum is baat ki gawahi do ki allah ke siwa koyi ibadat ke layeq nahi aur Mohammad (S A W) allah ke bande aur us ke rasool hain, Namaz padho, Zakat do, aur Ramazan ke month me roza rakhkho, aur Hajj karo”, us aadmi ne kaha ki aap ne sahi jawab dia. Hazrat Umar kahte hain ki: yah chheez humko badi ajeeb lagi ki: aane wala aadmi khud hi aap se sawal kar raha hai aur khud hi us ki verify bhi kar raha hai. Phir us ne aap se sawal kia ki yimaan kya hai? Aap ne jawab dia ki: “Yimaan yah hai ki tum Allah par, aur us ke tamam rasoolon par, us ki books par, aur qayamat ke din par, aur achchhi buri taqdeer par yimaan laao”,us aadmi ne kaha: sahi jawab. Phir us ne aap se sawal kia ki ehsaan kya hai? Aap ne jawab dia ki: “ehsaan yah hai ki tum allah ki ibadat is tarah karo ki tum allah ko dekh rahe ho, agar yah kaifiyat na ho to itna zarur ho ki aalah tum ko dekh raha hai”. phir us aadmi ne sawal kia ki: Qayamat kab hai? Aap ne farmaya: “Jis ke bare me sawal kia gaya hai wah pochhne wale se zada nahi janta hai”, (yani qayamat ke bare bare me na mujhe pata hai na aap ko) Us ke baad us aadmi ne sawal kia ki qayamat ki nishaniyon ke bare me batayen? Aap ne jawab dia ki: “Us ki aham nishaniyon me se ek yah hai ki ek zamana aisa aaye ga ki bandi apni malkin ko paida kare gi, aur dosri yah hai ki nange paon aur nange badan muhtaj aur gareeb log buildings banane me ek dosre competition karne lage to samajg lo ki qayamat qareeb hai”. us ke baad wah addmi chala gaya. Hazrat Umar kahte hain ki: mai thodi der ruka raha, phir aap (S A W) ne mujh se farmaya: “Ai Umar kya tum ko pata hai ki yah sawal karne wala kaun tha?” mai ne kaha: allah aur us ke rasool zada jante hain, tab aap (S A W) ne jawab dia: “Yah Jibreel e Ameen the jo tum logon ko tumhara deen sikhane ke liye aaye the”. (Sahih Muslim: 8) source:- https://allonlineislam.com/beautiful-hadees-in-hindi/

الفئة

عرض المزيد

تعليقات - 0